Friday, October 30, 2009

कल्प पात्र

Is sampoorna shrishti me sabhi rogon ka nash matr paarad ke dwara hi sambhav hai ,aur ye bhi jagadvikhyaat hai ki yadi manushya apne shareer ka kayakalp kar sakta hai to matr paarad ke prayog dwara hi ye sambhav hai.

Paarad ke dwara kai vibhinn tarikon se kayakalp kiya jata hai ,jaise paarad ke dwara kalp ka nirmaan kiya ja sakta hai jisse shareer ko arogyata to di hi jati hai sath hi sath soundarya ke mapdand par khara utar ne ke liye job hi anivarya sharte hoti hain unme bhi in kalpo ke dwara poorn labh paya jata hai jis prakaar dabe huye ya kali rangat ko gouraangna ke dwara matr kuchh hi dino me gora rang sthayee roop se diya ja sakta hai. Unchha kad aur sugathit sharer ki prapti sandeepan kalp ke dwara ki ja sakti hai.

In sabhi kalpon me paarad ka aur paarad jal ka prayog kiya jata hai .jiska vidhaan itna sahaj bhi nahi hai, haan ye ek alag baat hai ki SadGurudev ne kai avsaron par apne shishyon ko in kalpon ka vidhaan bhi samjhaya aur in kalpon ko banakar diya bhi .

Aise hi paarad ke dwara kuchh vishesh vanaspatiyon ke sahyog se sise,range,jaste se rahit kar aur yauvan kartri samskaar siddh kar ek vishesh paatra ka nirmaan kiya jata hai jise Aing-patra ya kayakalp patra kaha jata hai . is patra ka nirmaan poorn rupen saraswati beej mantr aing ka vikhandan kar aur kayakalp mantra se samputit kar kiya jata hai .sampoorna shrishti me saraswati hji vyakti ko ras yukt kar sakti hain ya poorn saundarya de sakti hain. Is patra ke dwara saundarya ke vibhinn pakshon kop rapt kiya ja sakta hai .paarad ko poorn samskarit aur vanaspati ki urja ka sahyog kar ras ko rasraj banaya jata hai tabhi is patra ka nirmaan sahaj ho pata hai. Ye katore ke aakaar ka hota hai. Chahe baalon se sambandhit vikaar ho ya kaamshakti ka prasfotan matlab poorna youvan ki praapti,chahe garbh se sambandhit vikaar ho ya phir naye shareer ki praapti (vaise hi jaise sarp jati apni kenchuli ko chhodkar nayi deh ko prapt kar leti hai) .hamare praachintam gyan paqr hame garv hona chahiye jahan asambhav kuchh bhi nahi hai kyunki aseem pragya shakti ka prayog karne ke baad in sootron ka uday hua hai. Main inme se kuchh prayog yaha par de raha hoon asha karta hoon ki aapko isse poorn labh hoga.



Safed baalo ko sthayee roop se kaala karne ka kalp prayog-

Taje aanvle 2 kilo lekar ek mitti ki handi me daal de.aur usme 3 kilo paani daal de/ handi itni badi honi chahiye jisme lagbhag 5 kilo samagri aa jaye, iske baad pratyek samagri 250-250 gram daal de, chhuaare,vanshlocha n,jarapeepar, kapurkaachri, adhlayee aur adhlanga ki giri.

Pratyek vastu suddh aur saaf ho in sabko aanvle ke sath mila kar rakh de aur dhaak de 24 ghanto tak is par soorya ki roshni nahi padni chahiye.

Doosre din handi me aur pani daal de yani muh tak bhar de aur use dheemi-2 aanch par pakaye ,3 ghante tak pakaane ke baad use neeche utaar kar thanda kar len aur thanda kar un saari samagri ko ek ras kar len. Nitya isme se paanch tola samagri ko kalp patra me 12 ghanto ke liye rakh den aur nity aise hi 5-5 tole ka sevan Karen is paatr ke prabhav se is kalp me ek vishesh shakti aajati hai jiske sevan se baalon ka rang sthyaee roop se kala ho jata hai aur baal ghane va lambe bhi ho jate hain.



Poorn youvan prapti ke liye tatha kaam shakti ki vraddhi ke liye nitya ratri me gunguna doodh 50 gram is paatra me rakh de aur nimn mantr ka 5 minut tak jap kare baad me us doodh ko pee len kuchh hi dino me aap swayam hi iske prabhav ko dekh kar ashchary chakit rah jayenge.jis paarad se is paatra ka nirmaan hota hai wo youvan kartri samskaar ssampann aur ye paatr anang mantron se siddh hota hai . Ye vidhi dekhne me to to bahut hi aasan dikhayee deti hai par hai bahut hi prabhavkaari.

Mantra- om namo bhagvate mahabal parakramaye manobhilashit stambhanam kuru kuru swaha.

Is mantra ka prayog moonga aur shukar dant par bhi kiya jata hai par vo vidhi bahut hi diirgh hai.



Santaan prapti tatha garbh se sambandhit vikaar ke shaman ke liye -is patra me gay ke doodh ko 50 gram bhar de aur usme aing beej ke pratik kusha(daab), palash aur akarkara vanaspatiyon ka ark mila de (in teeno vanaspati ke dwara hi srishti ki prakriya hoti hai ).phir is mishran ko chalaate huye aing mantra ka 3 ghante tak jap kare aur 3 ghante ke baad us doodh ko doosre doodh me mila kar pila den ya yadi swayam ke liye kar rahe hain to swayam pee le .ye 100% pramanik prayog hai .

Sampporna kayakalp prayog aadi ka varnan phir kabhi karne ka prayas karunga. Is paatra ke dwara bahut se karyon ko sampan koiya ja sakta hai .jarurat aalochna ki nahi balki kasauti par parakhne ki hai.

****ARIF****

1 comment:

Guru said...

Arif bhai superb post.

I wonder where i can get that "KALP PATRA"

Can i get this from GURUDHAM ????

Pls do reply