Sunday, January 17, 2010

The Hidden secrets of Ras-Tantra



Ras-tantra ke anvenshan kaal me sadgurudev ki kripa se mera sakshatkaar un adbhut sootron se hua jinhe ki ras siddhon ke Madhya abhi tak gupt hi raka gaya tha aur matra Gurumukhi parampara se hi shishyon ko pradan kiya jata tha, sath hi main ye baat bhi bata doon ki ye sootra anekanek barson se in sootron ko koi prapt bhi nahi kar paya……… kyunki jo mapdand in sootron ki jaankari ke liye sadhakon me hone chahiye the we bhi aprapya hi the……. Parantu Sadgurudev ki aseem kripa se punah ye sootra ham sabhi sadhakon aur shishyon ke Madhya uplabdh huye hain.

Kyunki sadgurudev ki soch anya vidvjano se bhinn hi rahi hai…..anya vidvano k mat jaha par ye raha hai ki pahle supatra ya kupatra ko dekho wahi Sadgurudev ka mat raha hai ki gyan ko bikherte chalo ,jisme jara sib hi urvara shakti hogi waha ye parishkrit beej swayam hi ankurit, pushpit aur pallavit ho jayega. Atah patrata ko sadhak ke liye chhoda. Labh to bas wahi utha payega jo is gyan ko prayogatmak roop se aatmsaat kar payega..

A. Samanyatah sadhakon ka khechratva ya akash gaman ke prati jigyasa swabhavik hai,aur we ye bhi jante hain ki aakash gaman ya khechratva ke liye kumbhak ka kitna mahatva hai kumbhak ke dwara hi sharirasth vayu ko rok kar apne sharir ko shunya me uthaya ja sakta hai aur vayu gaman kiya ja sakta hai ……. Par kya aapko ye pata hai ki samanya kumbhak se to ye sambhav hi nahi haikyunki kumbhak ke dwara shunya me utha to ja sakta hai,kintu utthit avastha me aap baat cheet nahi kar sakte,yaha tak ki koi koi sadhak to bahya-gyan bhi kho baithte hain,iske alava urdhva vayumandal me chalte huye samay samay par pratikul pravahshil vayu ka aghat lagne se patan ka bhay bhi utpann ho jata hai.parantu…………….Kiraat kumbhak kar lene par deh shunyamay ho jata hai. Samagra deh ko sankuchit aur prasarit karne ki kshamta ka vikas hota hai.

Deh ko shuddh kar uske kisi anga me vayu poorna kar rakhne ka naam hi kiraat kumbhak hai.isi kumbhak ke wara vishudh vayu ko deh me bhar liya jata hai. Aise me jab shunyasth hote hain, to bahya gyan bhi bana rahta hai aur pratikul vayu ka prabhav bhi nahi hota aur baat cheet bhi ki ja sakti hai..aise me ati-prabal aur shaktishali tejorashi ke darshan aur sansparshan se bhi gyan nasht nahi hota. Lekin kya ye itna sahaj hai ????

Nahi na…… par Ras-Tantra me Paarad ke dwara (jo ras se rasendra ki yatra poorna kar chuka ho- matlab jis par divyoushdhiyon ka sanskar ho chuka ho, ratno aur swarna ka jaaran ho chuka ho) gutika ka nirmaan kiya jata hai aur is dauran navarna mantra ka vishesh roop se prayog kiya jata hai . siddha Kunjika stotra jiska parayog sabhi mantron ke utkilan aur siddhikaran ke liye kiya jata hai usme ye panktiya jarur yaad rakhiye ki khaam kheem khoom khechari tatha.. matlab he devi khaam kheem… ke roop me aap khecharatva shakti pradan karne vali ho . aur ye kham bej hi ksham arthat aakash beej ban jata hai aur sharir ka gurutvakarshan aapke niyantran me kar ke aapko khechratva de deta hai aur aisa hota hai avashya hota hai navarna mantra ke dwara hi. Bas varno ka kram guru nirdeshanusaar parivartit karna padta hai.

B. Sooryoday ka pahla mandal Rik-mandal kahlata hai. Is mandal ki 16 kirno ki adhishthatri shaktiyon ko ham shodash matrkaon ke naam se jante hain aur in matrkaon ka samavit roop hi Raaj Rajeshvari Shodashi Tripur Sundri hain. Inka utkilan kar jab ham abhishinchitikaran ki kriya karte hain to hame sahaj hi soorya vigyan ka gyan prapt ho jata hai . ye kriya bahya upadaan jaise ki lence ke sath bhi ho sakti hai ya bagair kisi bahya upaadaan ke bhi sambhav hoti hai. Is prakriya ke liye aap jis gutika ka nirmaan karte hain wo sampoorna varnon ke mantron se siddh hoti hai . jitney bhi varna hain unki apni apni ek shakti hoti hain aur unka vishesh dhyan bhi tatha unka ek mantra bhi , in mantron ko poorna roopen jagrit kar jab us varnatmak mantra ke dwara jab ham Gutika ya Vigrah ka nirmaan karte hain to ye Gutika Shunya siddhi ya padarth parivartan hetu Soorya siddhi se hame yukt kar deti hai . ab ye varnatmak mantra kya hai???? To iske Vishay me sankshipt me itna kahna hi paryapt hai ki jaise ka varna ka koi arth nahi hota hai ,lekin us ka ke saath pa+uu+ra ka sanyog karaya jaye to kapoor banta hai jiska arth bhi hai aur akriti bhi . isi tarah varnatmak mantron se jab wo gutika yukt hogi to aap shunya manta ko uske samne siddh kar jis bhi vastu ya padarth ka chintan karenge wo shunya se aap ke liye srijit ho hi jayegi. Kyunki wo mantra us gutika se kriya kar aapke chintan me aaye huye padarth ke varnon ko sangthit kar ekroopta pradan kar astitva me la dega.

Agle lekh me Inner ,Astral alchemy aur Rakt-Bindu, Shvet Bindu kriyaon ka wo rahasya aapke samne udghatit hoga jo nishchay hi Ras-tantra ke Goodh aur Gopniya aayamo se aapko avashya hi parichit karvayega.shayad tab aap samajh paye ki Sadgurudev ke kai aise paksha hain jo ki ham samajh hi nahi paye ya kabhi hamne janne ki koshish hi nahi ki.
Aapka hi

****ARIF****

1 comment:

santosh said...

sir i want to know more about this science please give me your email address address so that i am able to contact you my email address is krshnachary@gmail.com